hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe

hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe
subh-e-watan hai khanda-e-dandan-numa mujhe

dhunde hai us mughanni-e-atish-nafas ko ji
jis ki sada ho jalwa-e-barq-e-fana mujhe

mastana tai karun hun rah-e-wadi-e-khayal
ta baz-gasht se na rahe muddaa mujhe

karta hai bas-ki bagh mein tu be-hijabiyan
aane lagi hai nikhat-e-gul se haya mujhe

khulta kisi pe kyun mere dil ka moamla
sheron ke intikhab ne ruswa kiya mujhe

wan rang-ha ba-parda-e-tadbir hain hunuz
yan shola-e-charagh hai barg-e-hina mujhe

parwaz-ha niyaz-e-tamasha-e-husn-e-dost
baal-e-kushada hai nigah-e-ashna mujhe

az-khud-guzashtagi mein khamoshi pe harf hai
mauj-e-ghubar-e-surma hui hai sada mujhe

ta chand past fitrati-e-tab-e-arzu
ya rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe

main ne junun se ki jo 'asad' iltimas-e-rang
khun-e-jigar mein ek hi ghota diya mujhe

hai pech-tab rishta-e-sham-e-sahar-gahi
khajlat gudazi-e-nafas-e-na-rasa mujhe

yan aab-o-dana mausam-e-gul mein haram hai
zunnar-e-wa-gusista hai mauj-e-saba mujhe

yakbar imtihan-e-hawas bhi zarur hai
ai josh-e-ishq baada-e-mard-azma mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close