hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae

hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae
ki dar par gae hum aur phir utar aae

ajib haal ke majnun the jo ba-ishwa-o-naz
ba-su-e-baad ye mahmil mein baith kar aae

kabhi gae the miyan jo khabar ke sahra ki
wo aae bhi to bagulon ke sath ghar aae

koi junun nahin saudaiyan-e-sahra ko
ki jo azab bhi aae wo shahr par aae

batao dam guru chahiye tumhein ab kya
parindagan-e-hawa khak par utar aae

ajab khulus se rukhsat kiya gaya hum ko
khayal-e-kham ka tawan tha so bhar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close