hai KHamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani

hai khamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani
koi sun raha hai shayad meri dukh bhari kahani

yahi thartharaate aansu yahi nichi nichi nazren
yahi un ki bhi nishani yahi apni bhi nishani

ye nizam-e-bazm-e-saqi kahin rah sakega baqi
ki khushi to chand lamhe gham o dard jawedani

hain wajud-e-shai mein pinhan azal o abad ke rishte
yahan kuchh nahin do roza koi shai nahin hai fani

teri baat kya hai waiz mera dil wo hai ki jis ne
isi mai-kade mein aksar meri baat bhi na mani

pai-e-raf-e-bad-gumani main wafa barat raha tha
meri pai-ba-pai wafa se badhi aur bad-gumani

mera mai-kada salamat ki har ek qaid utha di
na to dair ki ghulami na haram ki pasbani

karun un se lakh shikwe magar un se shikwa karna
na tariqa-e-mohabbat na riwayat-e-jawani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close