almari se KHat uske purane nikal aae

almari se khat us ke purane nikal aae
phir se mere chehre pe ye dane nikal aae

man baith ke takti thi jahan se mera rasta
mitti ke hatate hi khazane nikal aae

mumkin hai hamein ganw bhi pahchan na pae
bachpan mein hi hum ghar se kamane nikal aae

ai ret ke zarre tera ehsan bahut hai
aankhon ko bhigone ke bahane nikal aae

ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte
hum tujh se bahut aage zamane nikal aae

ek khauf sa rahta hai mere dil mein hamesha
kis ghar se teri yaad na jaane nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close