hai koi bair sa usko meri tadbir ke sath

hai koi bair sa us ko meri tadbir ke sath
ab kahan tak koi jhagda kare taqdir ke sath

mere hone mein na hone ka tha saman maujud
tutna mera likha tha meri tamir ke sath

chhod jate hain haqiqat ke jahan mein hamein phir
khwab aate hi kahan hamein kabhi tabir ke sath

aadmi hi ke banae hue zindan hain ye sab
koi paida nahin hota kisi zanjir ke sath

jaante sab hain ki do gaz hi zamin apni hai
kaun khush rahta hai lekin kisi jagir ke sath

sath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahrai bhi
aur lahja bhi gaya 'mir-taqi-mir' ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close