ladi hai phulon se phir bhi udas lagti hai

ladi hai phulon se phir bhi udas lagti hai
ye shakh mujh ko meri gham-shanas lagti hai

kisi kitab ke andar dabi hui titli
usi kitab ka ek iqtibas lagti hai

wo maut hi hai jo deti hai sau tarah ke libas
ye zindagi hai ki jo be-libas lagti hai

thi qahqahon ki tamanna to aa gae aansu
khushi ki aarzu gham ki asas lagti hai

utha ke dekh sarabon ke aaine ko zara
nadi ke pas bhala kis ko pyas lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close