hai nur-e-khuda bhi yahan irfan-e-khuda bhi ye zat ki hai wadi-e-sina bhi hira bhi us ban mein kiya karti hai tap meri ana bhi is shahar mein hai kar-gah-e-arz-o-sama bhi karta hun tawaf apna to milti hai nai rah qibla bhi hai ye zat mera qibla-numa bhi khud-agahi o khud-nigahi ka hai ye inam aur jurm-e-shanasai-e-alam ki saza bhi hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsas jo dekhti rahti hai meri aankh dikha bhi karti hai kamar-basta safar par bhi yahi zat jab dur nikal jata hun deti hai sada bhi zarre mein hai kaunain to kaunain mein zarra kuchh hai tujhe aawara-e-aflak pata bhi