mehrban koi nazar aae to samjhun tu hai

mehrban koi nazar aae to samjhun tu hai
phul mahken to ye jaanon ki teri khushbu hai

aql taslim nahin karti pe dil manta hai
wo koi moajaza hai wahm hai ya jadu hai

ab tera zikr karenge na tujhe yaad kabhi
han magar dil ke dhadakne pe kise qabu hai

kuchh mizaj apna hi begana hua jata hai
warna us shakhs ki to narm-rawi ki khu hai

gham rag-o-pai mein utarta hai lahu ki surat
dard palkon pe larazta hua ek aansu hai

aaj kuchh rang digar hai mere ghar ka 'khalid'
sochta hun ye teri yaad hai ya khud tu hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close