hai qaht na tufan na koi khauf waba ka is des pe saya hai kisi aur bala ka har sham sisakti hui fariyaad ki wadi har subh sulagta hua sahra hai sada ka apna to nahin tha main kabhi aur ghamon ne mara mujhe aisa raha tera na khuda ka phaile hue har-samt jahan hirs-o-hawas hun phulega phalega wahan kya ped wafa ka hathon ki lakiren tujhe kya samt dikhaen sun waqt ki aawaz ko rukh dekh hawa ka luqman-o-masiha ne bhi koshish to bahut ki hota hai asar us pe dua ka na dawa ka is bar jo naghma teri yaadon se utha hai mushkil hai ki paband ho alfaz-o-sada ka itni tere insaf ki dekhi hain misalen lagta hi nahin mulk tera mulk khuda ka samjha tha wo andar kahin paiwast hai mujh mein dekha to mere hath mein aanchal tha saba ka