har gul se har khar se uljha rahta hai dil hai apne yar se uljha rahta hai phul khafa rahte hain apni shakhon se dar apni diwar se uljha rahta hai meri jawani ka sathi mera aaina chandi ke har tar se uljha rahta hai jaane mera shair beta kyun aksar dada ki talwar se uljha rahta hai log to aakhir log hain un se kya shikwa isa kyun bimar se uljha rahta hai murat banti tutti banti rahti hai fan apne fankar se uljha rahta hai