hai shauq to be-saKHta aankhon mein samo lo

hai shauq to be-sakhta aankhon mein samo lo
yun mujh ko nigahon ke taraazu mein na tolo

main bhi hun kisi aankh se tapka hua moti
mujh ko bhi kisi reshmi dori mein piro lo

laya hun main khud dil ko hatheli pe saja kar
is jins ke bazar mein kya dam hain bolo

main kanch ke tukdon ki tarah bikhra pada hun
bhule se kabhi mujh ko bhi panw mein chubho lo

phir jaaniye kab waqt ki raftar thamegi
thahre hue lamhe ko nigahon mein piro lo

ab koi bikherega kadi dhup mein gesu
khud apne hi dil ke kisi tah-khane mein so lo

din bhar to 'rashid' aap ko hansna hi padega
rona hai to ab raat ki tanhai mein ro lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close