hai talkh-tar hayat is sharab se tu ishq haar dega ijtinab se kahaniyan dahak rahi hain raat ki badan ulajh rahe hain mahtab se khuda-e-khwab khema-zan tha aankh mein so dil chatakh raha tha iztirab se main raushni ke bij bo ke so gaya charagh ug rahe hain kisht-e-khwab se rafu-garo hum aise khasta-tan yahan udhad udhad ke aaenge sarab se 'raza' ye khushbuon ka zaiqa nahin jo ris raha hai jism ke gulab se