hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad

hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad
tham na jaen kahin yaran-e-safar mere baad

kam hain aise jo karen arz-e-hunar mere baad
aaj ghamnak se hain ahl-e-nazar mere baad

chand saat ke liye ruk bhi gaya ro bhi liya
karwan phir bhi hai sargarm-e-safar mere baad

jazb thin jis mein mere khun-e-wafa ki chhinten
ban gaya sajda-gah-e-khalq wo dar mere baad

hijr ki raat larazta hi raha palkon par
qatra-e-ashk bana najm-e-sahar mere baad

shayad ai dost tamashaon ke hangamon mein
yaad aae meri mohtat nazar mere baad

aaj anjaan bano bhul bhi jao lekin
kya karoge meri yaad aae agar mere baad

kyun bichhate ho meri rah mein kante yaro
khair jari se badal jaega shar mere baad

ab bhi shor-e-qadam-e-rah-rawan hai to wahi
phir bhi suni hai teri rahguzar mere baad

kya koi aur banata tha nasheman apna
phir usi shakh pe hai raqs-e-sharar mere baad

ek meri yaad ki mashal ke siwa kuchh bhi na ho
raat is tarah se bhi hogi basar mere baad

ye tamawwuj ye talatum ye shahadat ye shuhud
khatm hai manzil-e-awwal ka safar mere baad

ashk aankhon mein bhare us ne bhi dekha 'zaidi'
aaj mahfil ko ba-andaz-e-digar mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close