palkon pe bhala kab ye Thaharne ke liye the

palkon pe bhala kab ye thaharne ke liye the
moti meri aankhon ke bikharne ke liye the

chamke na kisi taur bhi zinda rahe jab tak
hum khak mein mil kar hi nikharne ke liye the

achchha hai ki ab saf hi kah dijiye sahab
wade jo kiye the wo mukarne ke liye the

hum aaj teri rah mein kaam aa gae aakhir
zinda hi tere nam pe marne ke liye the

achchha nahin lagta tha tere hijr mein jina
hum laut gae the to bikharne ke liye the

hum log saza-war na the wadi-e-gul ke
kanton-bhari rahon se guzarne ke liye the

ahbab bhi dushman nazar aate hain 'nazir' aaj
chehron pe lage chehre utarne ke liye the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close