hain ab to hile-bahane ke qil-o-qal ke din bhula ke rakh diye tu ne meri majal ke din ki dukh ne kucha-e-shab par kar liya shayad tulua hone lage is liye malal ke din har ek lafz pasheman pas-e-ghubar-e-sukut jawab ki wo hon raaten ki phir sawal ke din charagh-e-saut-o-sada aaj kuchh munawwar hai visal-e-shab ke qarin hain mere ghazal ke din ye intizar ki ghadiyan ye shab ka sannata us ek shab mein bhare hain hazar sal ke din