hain ahl-e-nazar yahan pe sabhi ghalat koi kaam ho na sake

hain ahl-e-nazar yahan pe sabhi ghalat koi kaam ho na sake
sharab-e-kuhan wo pi ke chale jo mast-e-khiram ho na sake

na koi lagan na dil mein chubhan na rashk-e-sukhan na rang-e-chaman
nahin tha jinhen shuur-e-wafa wo aali maqam ho na sake

jo tira-shabi ne chhoda mujhe to dil se mere uthi ye sada
ujale zara khayal rahe sahar kabhi sham ho na sake

the hont mere usi ke liye zamane se be-qarar magar
ye qaid mujhe laga di gai ki lab pe wo nam ho na sake

lahu mein naha ke wo hi chala likha tha jabin pe jis ki khuda
the aur bhi dawe-dar yahan magar wo imam ho na sake

kharid ke la na paoge tum milenge nahin dukan pe usul
the sahab-e-zar hazar magar wafa ke ghulam ho na sake

bandha ke meri ummid kisi ne dur kahin khilae gulab
tha shauq-e-junun bala ka magar payam-o-salam ho na sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close