pahad jo khada hua tha khwab-sa khayal sa bikhar gaya hai raste mein gard-e-mah-o-sal sa nazar ka farq kahiye is ko hijr hai visal sa uruj kah rahe hain jis ko hai wahi zawal sa tumhaara lafz sach ka sath de saka na dur tak misal jis ki de rahe ho hai wo be-misal sa khulus ke hiran ko dhund kar riya ke shahr mein mere aziz kar rahe ho tum ajab kamal sa adawaton ki mauj jis zamin pe bo gai namak ugega sabza-zar us jagah ye hai muhaal sa shab-e-visal aaine mein pad gaya shigaf kyun? hamara dil to saf hai tumhein hai kyun malal sa 'karamat'-e-hazin farar ho ke haal-e-zar se guzishta ahd se mila to wo laga hai haal sa