hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi dagar nahin hai qadam qadam par saubaten hain safar to hai ham-safar nahin hai chaman ke shaidaiyon se ek din sawal ye puchhna hai mujh ko khila jo pur-khar jangalon mein wo phul kyun mo'atabar nahin hai main band aankhon ke aainon mein tumhaari aamad ki muntazir hun chale bhi aao meri mohabbat ka rasta pur-khatar nahin hai tumhaari khushbu chura rahi hun misal-e-baad-e-sahar main lekin nigah suraj ki chubh rahi hai tumhein ye shayad khabar nahin hai ye ghazlen nazmen ye dil ke jazbe ye mahke mahke khayal sare saja rahi hun main lafz apne kisi ki mujh par nazar nahin hai