paigham-e-shabab aa raha hai shakhon pe gulab aa raha hai jazbe ka parinda kyun na tadpe rahon mein sarab aa raha hai hoshyar rahe khirad ki mahfil ek khana-kharab aa raha hai sarshaar hain waqt ke katore jam-e-mai-e-nab aa raha hai is tarah shafaq ko nind aai ehsas ko khwab aa raha hai insan hai be-haya kuchh aisa haiwan ko hijab aa raha hai taron ki nigah kyun na chamke chehre pe naqab aa raha hai kora hai ye hashiya khudi ka hasti ka wo bab aa raha hai ungli mein ubhar rahi hai sozish hathon mein rubab aa raha hai puchha jo sawal aasman se dharti se jawab aa raha hai ghulta hai dimagh ai 'karamat' sar par jo azab aa raha hai