hain bazm-e-gul mein bapa nauha-khwaniyan kya kya bahaar chhod gai hai nishaniyan kya kya tamam umr gul-o-mul ke darmiyan guzri tamam umr rahin sar-giraniyan kya kya wo shakhs-e-itr-badan jab bhi samne aaya dil-o-nazar pe huin gul-o-fashaniyan kya kya khabar na thi yahi wajh-e-sukun-e-jaan hogi nigah-e-yar se thin bad-gumaniyan kya kya tapak ke aankh se tufan utha diye jis ne is ek ashk mein thin be-karaniyan kya kya huzur-e-yar se jab izn-e-guftugu na mila sukhan-taraaz huin be-zabaniyan kya kya har ek dard ko darman bana diya us ne jafa ke bhes mein thin mehrbaniyan kya kya wo husn aaj bhi hila-gari mein yakta hai dil-e-gharib sunega kahaniyan kya kya us ek jamal-e-gurezan ki justuju mein 'zahir' kharab-o-khwar hui hain jawaniyan kya kya