hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi

hamrah lutf-e-chashm-e-gurezan bhi aaegi
wo aaenge to gardish-e-dauran bhi aaegi

niklegi bu-e-zulf hamari talash mein
sahra mein ab hawa-e-gulistan bhi aaegi

wo jin ko apne tark-e-talluq pe naz tha
aaj un ko yaad sohbat-e-yaran bhi aaegi

hum khud hi be libas rahe is khayal se
wahshat badhi to su-e-gareban bhi aaegi

tai ho chuka hai sud-o-ziyan ka moamla
zakhm aaenge to lazzat-e-paikan bhi aaegi

dhundhegi sar-barahna hamein dasht-e-hijr mein
ek din junun mein ghairat-e-jaanan bhi aaegi

ai rah-naward-e-ishq sambhal kar qadam badha
is raste mein zulmat-e-hijran bhi aaegi

wo barq jo hudud-e-nazar se pare rahi
wo barq ab qarib-e-rag-e-jaan bhi aaegi

kat jaega ye karb-e-shab-e-gham bhi ai 'zahir'
shubh-e-nashat-o-fasl-e-nigaran bhi aaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close