hairan hun ki aaj ye kya hadisa hua hai aag sard dil bhi hai mera bujha hua manzil pe pahle meri rasai hui to phir har naqsh-e-pa se aage mera naqsh-e-pa hua rekhaen hath ki to siwa jagti rahen ai kash mera bakht rahe jagta hua thi us ki band mutthi mein chitthi dabi hui jo shakhs tha train ke niche kata hua 'nayyar' kahani yaad hai pariyon ke desh ki main us tilism se na abhi tak riha hua