dariche so gae shab jagti hai mere kamre mein kaisi khamushi hai jidhar dekho fasurda zindagi hai mujhe lagta hai ye gham ki sadi hai jo raston mein bhatakti phir rahi hai ise pahchan fikr-e-zindagi hai samundar ka tamawwuj abr-o-baran zamin ke dil mein phir bhi tishnagi hai har ek lamha hamara khun-e-taza mohabbat jonk ban kar chusti hai ye sannata ye tanhai ye kamra khayalon mein chudail ab nachti hai main 'nayyar' kya dikhaun zakhm dil ka kisi ki aankh khud nam ho gai hai