ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail Thahra

ham-sar-e-zulf qad-e-hur-e-shamail thahra
lam ka khub alif madd-e-muqabil thahra

dida-e-tar se jo daman mein gira dil thahra
bahte bahte ye safina lab-e-sahil thahra

ki nazar ru-e-kitabi pe to kuchh dil thahra
maktab-e-shauq bhi quran ki manzil thahra

nighat-e-gul se pareshan hua us ka dimagh
khanda-e-gul na hua shor-e-anadil thahra

najd se qais jo aaya mare zindan ki taraf
der tak gosh-bar-awaz-e-salasil thahra

husn jis tifl ka chamka wo hua bais-e-qatl
jis ne talwar sambhaali mera qatil thahra

khat jo nikla rukh-e-jaanan pe mila bosa-e-khal
yahi dana faqat is kisht ka hasil thahra

alam ek nuqta jo mashhur tha ai josh-e-junun
ghaur se ki jo nazar nuqta-e-baatil thahra

dur jab tak the tadapta tha mein kaisa kaisa
pas aa kar wo jo thahre to mera dil thahra

kasrat-e-dagh se gul-dasta bana dil to kya
zinat-e-bagh na aaraish-e-mahfil thahra

daudta qais bhi aata hai nihayat hi qarib
ek zara naqe ko ai sahib-e-mahmil thahra

dam jo betab tha muddat se mere sine mein
tegh-e-qatil ke tale kuchh dam-e-bismil thahra

hum badi dur se aae hain tumhaara hai ye haal
ghar se darwaze tak aana kai manzil thahra

ab tak aati hai sada turbat-e-laila se 'amir'
sarban ab to khuda ke liye mahmil thahra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close