hamari pyas ko itna jagaya hai muqaddar ne

hamari pyas ko itna jagaya hai muqaddar ne
ki ek qatre ko bhi dariya banaya hai muqaddar ne

kabhi tufan se takrae kabhi maujon se lad baithe
hamein haalat se ladna sikhaya hai muqaddar ne

hamari chahaton ki shab bhi guzri waqt se pahle
hamein ek khwab aisa bhi dikhaya hai muqaddar ne

na koi aarzu hai ab na koi justuju mujh ko
mujhe kyun zindagi se ab milaya hai muqaddar ne

jahan manzil to hasil hai magar apna nahin koi
mujhe kyun aise raston par chalaya hai muqaddar ne

rulaya hai sataya hai jalaya hai ki ai 'talib'
sitam ka har tariqa aazmaya hai muqaddar ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close