hamein khabar thi bachane ka us mein yara nahin so hum bhi dub gae aur use pukara nahin khud aaftab meri rah ka charagh bane magar ye baat mere chand ko gawara nahin jo us mein utri to tufan hi milenge mujhe main jaanti hun ki wo mauj hai kinara nahin ajab faza hai ki rang-e-numud-e-subh bhi hai siyah raat ne bhi pairahan utara nahin wajud jis ko kisi mo'tabar shajar ne diya hawa ki zad mein bhi tinka wo be-sahaara nahin jalega khud bhi sahar tak mujhe bhi lau dega charagh-e-sham koi bakht ka sitara nahin