hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai

hamein nazdik kab dil ki mohabbat khinch lati hai
tujhe teri mujhe meri zarurat khinch lati hai

chhupa hai jo khazana tah mein in banjar zaminon ki
use bahar zamin se meri mehnat khinch lati hai

main mazi ko bhula kar apne mustaqbil mein zinda hun
nigahon se hai jo ojhal bashaarat khinch lati hai

mera dushman meri aankhon se ojhal ho nahin sakta
mere nazdik us ko dil ki nafrat khinch lati hai

samundar par jaane wale ek dan laut aaenge
mera iman hai mitti ki mohabbat khinch lati hai

jo apna ghar kisi ke ishq mein barbaad karte hain
unhen sahra mein un ke dil ki wahshat khinch lati hai

kabhi hota hai jo viran mere shahr ka maqtal
kisi mansur ko 'arif' sadaqat khinch lati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close