hazaron sal se main jis ke intizar mein tha

hazaron sal se main jis ke intizar mein tha
wo aks-e-khwab to mere hi ikhtiyar mein tha

wo meri zat ke partaw se mahtab hua
wagarna kurra-e-be-nur kis shumar mein tha

koi lagao na tha ab hare shajar se mujhe
main barg-e-khushk tha udte hue ghubar mein tha

safar mein yunhi jhulasta raha khabar na hui
ki thande pani ka chashma bhi rahguzar mein tha

main bad-guman na kabhi us se ho saka 'akhtar'
ajab tarah ka maza us ke jhute pyar mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close