hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagDa hamesha wafa-o-mohabbat ka hullaD

hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagda hamesha wafa-o-mohabbat ka hullad
thame kya tabiat ruke kis tarah dil ye aafat wo fitna ye aandhi wo jhakkad

jo raaz-e-mohabbat ko jaanega koi to ye jaan le wo macha dega gadbad
nazar ki tarah badh nazar ki tarah ruk nazar ki tarah mil nazar ki tarah lad

mere dil ke hathon se bahr-e-wafa mein meri zindagi mein na ho jae gadbad
kabhi kasrat-e-ranj-o-gham ka thapeda kabhi josh-e-ummid-o-hasrat ki ojhad

kahan main hun aisa ki tu mehrban ho kahan qismat aisi ki aasan ho mushkil
agar aur gahak nahin koi tera to ai khanjar-e-naz mere gale pad

bashar kya farishte jo piten dhindhora to kyun kar chhupe raaz kam-bakht dil ka
idhar aah nikli hamari zaban se udhar mach gaya sari duniya mein hullad

sar-e-ham-sari husn-o-naz-o-ada mein na rakhta tha koi na rakkhega koi
tera aks-e-aina hai aur tu hai jo ladna hai tujh ko to apne hi se lad

bahaar-e-jawani hayat-e-jawani na ye ghair-fani na wo ghair-fani
urus-e-chaman ka utarta hai gahna khizan ke zamane mein hoti hai patjhad

hazaron mare hain hazaron mare hain hazaron marenge hazaron mitenge
wo insan nahin us ko samjho farishta jo bardasht kar le mohabbat ki ojhad

wo arz-e-tamanna ko fariyaad samjhe wo fariyaad ko gham ki rudad samjhe
zara si meri baat thi lekin us ka hua rafta rafta kahan tak batangad

udhar aish-o-ishrat idhar yas-o-hasrat jahan wale dekhen jahan ki do-rangi
kahin koi paiham bachata hai baghlen koi pitta hai kahin sar dhada-dhad

mohabbat ne chhoda ye turfa shagufa bahaar-e-jawani bhi dil ne na dekhi
abhi phulne-phalne ke din kahan the magar kat gai nakhl-e-ummid ki jad

jo ek jang-ju idrak sulh-ju ho to jhagda na utthe bakheda na uthe
dil-o-dil-ruba mein nibhe kya mohabbat udhar wo bhi ziddi idhar ye bhi akkhad

kiye saikdon ahd-o-paiman-e-ulfat magar khair se koi sachcha na nikla
wo kahte hain milne ko ab hashr ke din kahin ho na jae kuchh us din bhi gadbad

muqaddar mein likkha tha hun kar bigadna koi kyun na marta koi kyun na uthta
zamin-doz ahl-e-zamin ho gae sab padi aasman se wo sar par do-hatthad

jo nawak chale aur talwar nikli to qaem raha main hi ahd-e-wafa par
kisi ne kisi ko bhi phir kar na dekha padi imtihan-ghar mein kuchh aisi bhagad

samajhte hain aaghaz-o-anjam apna mah-o-mehr kya aaenge tere aage
idhar se udhar un ka phir jaega munh lagaegi sharmindagi aisa thappad

khayal-o-tasawwur mein hargiz na lana hansi dil-lagi mein hamesha udana
mere daw-e-ishq ki qadr kya ho wo is ko samajhte hain majzub ki bad

jahan dekhta hun wahan dekhta hun jidhar dekhta hun udhar dekhta hun
mohabbat ki shorish mohabbat ki udham mohabbat ka ghaugha mohabbat ka hullad

maza jab hai aapas mein kuchh jang bhi ho maza jang mein jab hai kuchh sulh bhi ho
dikha de talawwun ka apne tamasha idhar lad udhar mil idhar mil udhar lad

bahaya mazamin ka tum ne dariya ghazal mein bahut khub ashaar likkhe
zamane ko ai 'nuh' hairat na kyun ho ki tufan aisa zamin aisi gadbad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close