hamesha zindagi ki har kami ko jite rahte hain jise hum ji nahin pae usi ko jite rahte hain hamare dukh ki barish ko koi daman nahin milta hamari aankh ke baadal nami ko jite rahte hain kisi ke sath hain rasmen kisi ke sath hain qasmen kisi ke sath jina hai kisi ko jite rahte hain hamein malum hai ek din bharosa tut jaega magar phir bhi sarabon mein nadi ko jite rahte hain hamare sath chalti hai tumhaare pyar ki khushbu lagai thi jo tum ne us lagi ko jite rahte hain chahakte ghar mahakte khet aur wo ganw ki galiyan jinhen hum chhod aae un sabhi ko jite rahte hai khuda ke nam-lewa hum bhi hain tum bhi ho aur wo bhi magar afsos sab apni khudi ko jite rahte hain