haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna

haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna
ahl-e-qalam ki jurat-e-izhaar dekhna

dekhen jinhen hain dair ke diwar-o-dar aziz
hum ko to sirf su-e-dar-e-yar dekhna

karta raha qalam yunhi shakhen jo baghban
napaid hoga saya-e-ashjar dekhna

sarkar aap par jo chhidakte hain jaan aaj
bach kar chalenge kal ye namak-khwar dekhna

buniyaad jis ki hai hawas-e-iqtidar par
hone ko hai wo qila bhi mismar dekhna

dala jo tum ne hath kulah-e-awam par
lag jaenge saron ke bhi ambar dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close