haq-o-nahaq jalana ho kisi ko to jala dena koi roe tumhaare samne tum muskura dena taraddud barq-rezon mein tumhein karne ki kya hajat tumhein kafi hai hansta dekh lena muskura dena dilon par bijliyan girne ki surat gar koi puchhe to main kah dun tumhaara dekh lena muskura dena hui bijli se kis din naql andaz-e-sitamgari tumhaari tarah sikha lakh us ne muskura dena sitamgari ki talimen unhen di hain ye kah kah kar ki rota jis kisi ko dekh lena muskura dena takalluf-bar-taraf kyun phul le kar aao turbat par magar jab fatiha ko hath uthana muskura dena na kyun hum inqilab-e-dahr ko manen agar dekhen gulon ka nala karna bulbulon ka muskura dena na jaana na-tawani par ki ab bhi sai-e-nakhun se dikha sakte hain hum zakhm-e-kuhan ka muskura dena tumhaare nam mein kya zafaran ki shakh hai 'sail' ki jo sunta hai is ko us ko sun kar muskura dena