har be-zaban ko shoala-nawa kah liya karo yaro sukut hi ko sada kah liya karo khud ko fareb do ki na ho talkh zindagi har sang-dil ko jaan-e-wafa kah liya karo gar chahte ho khush rahen kuchh bandagan-e-khas jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo yaro ye daur zoaf-e-basarat ka daur hai aandhi uthe to us ko ghata kah liya karo insan ka agar qad-o-qamat na badh sake tum is ko naqs-e-ab-o-hawa kah liya karo apne liye ab ek hi rah-e-najat hai har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya 'qatil' jab dil jale to is ko diya kah liya karo