har chand ki pyara tha main suraj ki nazar ka phir bhi mujhe khatka hi raha shab ke safar ka uljhi hai bahut jism se dariya ki rawani is chobi mahal ka koi takhta bhi na sar ka duba hua aiwan-e-shafaq bhi hai dhuen mein be-rang sa har naqsh hai diwar-e-sahar ka riste hue nasur pe chalte rahe nashtar taza hi raha phul sada zakhm-e-hunar ka main hun ki kadi dhup ke sahra mein ghira hun saya kahin milta hi nahin shakh-e-shajar ka mazlum tha main kal bhi to mahrum hun ab bhi unwan badalta hi nahin meri khabar ka bijli to suna hai kahin jangal mein giri thi utra hua chehra hai chaman mein gul-e-tar ka tab barf ke mahtab se phutengi shuaen bujh jaega jab shoala mere dagh-e-jigar ka aaina shikasta hua chubhne lagin palken nazzara bhi dekha na gaya rup-nagar ka aaseb ho sarsar ho bala ho ki qaza ho sab ke liye darwaza khula hai mere ghar ka udti hi rahi khak-e-badan tez hawa mein ehsan ye kuchh kam to nahin barq-o-sharar ka mit jaengi peshani-e-marmar se lakiren ab rang utar jaega taus ke par ka khushiyon ka chamak-dar hiran hath na aaya pichha kya aahon ne bahut jazb-o-asar ka kis tarah mayassar ho mujhe arsa-e-rahat har lahza nai chot naya gham naya charka 'siddiq' jinhen rah-e-wafa main ne sujhai patthar wahi kahte hain mujhe rahguzar ka