har dam ki kashmakash se nikal rasta badal ab aur un ke sath na chal rasta badal ye khalfishaar-e-zehn ye khadshe ye hujjaten in sab ka bas hai ek hi hal rasta badal nakhwat-parast logon ko chhod un ke haal par waqt un ke khud nikalega bal rasta badal sochon mein jin ki taza hawa ka guzar nahin kar denge tera zehn bhi shal rasta badal ye teri zindagi hai guzar apne dhang se sanche mein dusron ke na dhal rasta badal tu jin ka ham-qadam hai ye be-mehr log hain honge tere ye aaj na kal rasta badal nuqsan degi tujh ko bahut gu-magu 'naim' takhir kar na ek bhi pal rasta badal