yun wafa aazmai jati hai

yun wafa aazmai jati hai
dil ki rag rag dikhai jati hai

apni surat ke aaine mein mujhe
meri surat dikhai jati hai

ek halki si muskurahat se
nai duniya banai jati hai

na bane baat kuchh to hans dena
baat yun bhi banai jati hai

jalne wala jale dhuan bhi na ho
aag yun bhi lagai jati hai

jaane wale tujhe khabar bhi hai
ek qayamat si aai jati hai

chashm-e-umnid tujh ko us ki shakl
dur se phir dikhai jati hai

dil ki chhoti si ek kahani thi
khatm par wo bhi aai jati hai

wo jo chamka tha ek sitara sa
ek ghata us pe chhai jati hai

dil pe ubhri thi wo jo ek taswir
kitni jaldi mitai jati hai

lau lagai thi sham-e-mahfil se
wo bhi ab jhilmilai jati hai

dusron se 'raza' kisi ki yaad
kis tarah se bhulai jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close