har ek baat kisi baat par hai goya tanz meri zaban meri zat par hai goya tanz na wo khulus ki garmi na walehana-pan kisi se milna mulaqat par hai goya tanz nigah-e-adam-e-khaki ki wusaton ka bayan tamam arz-o-samawat par hai goya tanz ajib shakhs hai us ki bas ek khamoshi zamane bhar ki khurafat par hai goya tanz kisi ke hath pe baiat na kar saka main 'nadim' so apna hath mere hat par hai goya tanz