jo riwayat bhul jate hain

jo riwayat bhul jate hain
apni har baat bhul jate hain

ahl-e-dil ahl-e-dard ahl-e-karam
de ke khairaat bhul jate hain

aap aaen to fart-e-shauq se hum
din hai ya raat bhul jate hain

apni mitti ke ghar bana kar bhi
log barsat bhul jate hain

gulsitan mein khizan bhi aaegi
phul aur pat bhul jate hain

yaad rakhte hain aap sab baaten
lekin ek baat bhul jate hain

jab bhi wo khush-nazar mile 'rifat'
gham ke lamhat bhul jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close