har ek lafz hai zinda alamaton se teri

har ek lafz hai zinda alamaton se teri
meri ghazal ki ye qamat nazakaton se teri

tere baghair to be-samt thi masafat-e-umr
mera safar hua aasan rafaqaton se teri

ab is mein teri meri khamushi hi behtar hai
ki baat phail gai hai wazahaton se teri

mere rafiq mere is qadar khilaf na the
ye ikhtilaf badha hai himayaton se teri

teri talab ke hawale se zindagi thi meri
mera jawaz hua khatm qurbaton se teri

main khar-o-khas ka gharaunda tu sail-e-shauq 'nadim'
main tut-phut gaya hun mohabbaton se teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close