dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko na dawa ne hi shifa di na dua ne hum ko ye to sahra ki hawaen hain gila kya un ka khub jhulsaya hai gulshan ki saba ne hum ko soz-e-afaq ka ehsas bhi hum ko na hua itna behosh kiya teri ada ne hum ko dur hota hi gaya chehra-e-manzil hum se rah dikhlai hai wo rah-numa ne hum ko dekhti hi rahi ye aql tamasha-e-junun jab bhi majbur kiya ahd-e-wafa hum ko zulf-e-idrak chhupati rukh-e-hasti kab tak aakhirash tham liya dast-e-faza ne hum ko dubi kashti jo hamari lab-e-sahil 'khalid' na-khuda ne nahin dekha ki khuda ne hum ko