har ek lamhe ki rag mein dard ka rishta dhadakta hai wahan tara larazta hai jo yan patta khadakta hai dhake rahte hain gahre abr mein baatin ke sab manzar kabhi ek lahza-e-idrak bijli sa kadakta hai mujhe diwana kar deti hai apni maut ki shokhi koi mujh mein rag-e-izhaar ki surat phadakta hai phir ek din aag lag jati hai jangal mein haqiqat ke kahin pahle-pahal ek khwab ka shola bhadakta hai meri nazren hi mere aks ko majruh karti hain nigahen murtakiz hoti hain aur shisha tadakta hai