main tum ko soch raha hun magar udas nahin tu aabshaar-e-sukun hai badan ki pyas nahin bina chhue hi mere khwab chum leta ho bahut qarib ho haalanki mere pas nahin khizan ki rut mein bhi khushbu sambhaal rakkhi hai main tum se dur hua hun magar udas nahin qarib aan ke baitho magar gale na lago dawa jo dil ke liye hai badan ko ras nahin rangon mein khun ki manind hai rawan mujh mein tu andarun-e-badan hai mera libas nahin qarar-e-tarq-e-talluq tha so nibhaya bhi sharab chhod di main ne magar gilas nahin