har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue

har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue
har ek ke gunah ka kaffara hum hue

aai jo bhuri sham sulagne laga badan
bhigi jo kali raat to angara hum hue

mitti mein mil gae to khilae gunah gul
uble to apne khun ka fawwara hum hue

samjha tha wo ki khak mein hum ko mila diya
paida isi zamin se dobara hum hue

har ek chobdar ne khinchi hamari khaal
har daur ke julus ka naqqara hum hue

jin ajnabi khalaon se waqif nahin koi
'muztar' unhin khalaon ka sayyara hum hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close