achchha hua ye waqt to aana zarur tha muddat se kashmakash mein dil-e-na-subur tha duniya ka hoshiyar bada zi-shuur tha jab tak mere kahe mein dil-e-na-subur tha mera qusur meri nazar ka qusur tha wo jis qadar qarib tha utna hi dur tha achchha hua jo dil ki tadap aur badh gai jaana bhi un ki bazm mein mujh ko zarur tha us be-nishan ka aaj nishan dhundte hain aap suniye wahi jo nazish-e-ahl-e-qubur tha wo daur meri umr ka tha yaadgar daur jis mein ki tere husn pe mujh ko ghurur tha le aaya kaun gor-e-ghariban mein khinch kar koson abhi main manzil-e-maqsad se dur tha waiz ne zikr-e-wada-e-firdaus kyun kiya us rind se jo nashsha-e-wahdat se chur tha ab aa ke meri lash se farma rahe hain wo 'alim' ye teri aql-o-farasat se dur tha