har ek samt hai ek jit haar ka mausam

har ek samt hai ek jit haar ka mausam
ab ek khwab sa lagta hai pyar ka mausam

isi ko gardish-e-lail-o-nahaar kahte hain
kabhi khizan hai kabhi hai bahaar ka mausam

chaman mein dhum machi hai ki fasl-e-gul aai
yahi hai daman-e-sad-tar-tar ka mausam

ab us ko yaad dilane ka faeda hi nahin
wo bhul bhi chuka qaul-o-qarar ka mausam

har ek shikast pe josh-e-amal mein shiddat la
mitega dida-e-khunaba-bar ka mausam

na aane de kabhi pa-e-sabaat mein laghzish
sada mila hai kise ikhtiyar ka mausam

rihai milti hai yaro na jaan jati hai
azab-e-jaan hai ye intizar ka mausam

daraaz kitni hi shab ho guzar hi jaegi
palat ke aaega didar-e-yar ka mausam

jo lauh-e-dil pe lagane chale ho dagh pe dagh
kabhi to aaega un ke shumar ka mausam

hai ab ye haal urus-ul-bilad ka 'azhar'
thahar gaya hai wahin gir-o-dar ka mausam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close