har ghar mein koi tah-KHana hota hai

har ghar mein koi tah-khana hota hai
tah-khane mein ek afsana hota hai

kisi purani almari ke khanon mein
yaadon ka anmol khazana hota hai

raat gae aksar dil ke viranon mein
ek sae ka aana jaana hota hai

badhti jati hai bechaini nakhun ki
jaise jaise zakhm purana hota hai

dil rota hai chehra hansta rahta hai
kaisa kaisa farz nibhana hota hai

zinda rahne ki khatir in aankhon mein
koi na koi khwab sajaana hota hai

tanhai ka zahr to wo bhi pite hain
jin logon ke sath zamana hota hai

sahra se basti mein aa kar bhed khula
dil ke andar hi virana hota hai

sarmasti mein yaad nahin rakhta koi
bazm se uth kar wapas jaana hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close