har KHauf har KHatar se guzarna bhi sikhiye

har khauf har khatar se guzarna bhi sikhiye
jina hai gar aziz to marna bhi sikhiye

ye kya ki dub kar hi mile sahil-e-najat
sailab-e-khun se par utarna bhi sikhiye

aisa na ho ki khwab hi rah jae zindagi
jo dil mein thaniye use karna bhi sikhiye

bigde bahut kashakash-e-naz-o-niyaz mein
ab us ki anjuman mein sanwarna bhi sikhiye

hota hai pastiyon ke muqaddar mein bhi uruj
ek mauj-e-tah-nashin ka ubharna bhi sikhiye

auron ki sard-mehri ka shikwa baja 'sahar'
khud apne dil ko pyar se bharna bhi sikhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close