har kisi se na ehtiraaz karo

har kisi se na ehtiraaz karo
dost dushman mein imtiyaz karo

ghair apne kabhi nahin hote
kyun unhen aashna-e-raaz karo

jab kisi dil mein ghar banana ho
pahle nazron se saz-baz karo

tum kahan wo nigah-e-naz kahan
apni khush-fahmiyon pe naz karo

sarfaraazi ise nahin kahte
sarfaraazon ko sarfaraaz karo

kya taqaze hain waqt ke 'sarshaar'
soz ko aashna-e-saz karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close