jab qaum par aafat aai ho jab mulk pada ho mushkil mein insan wo kya mar mitne ka ehsas na ho jis ke dil mein hansne ka tariqa paida kar rone ka saliqa paida kar hans phul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein qatil ke dil ki kamzori ne sara kaam bigad diya hum tishna-e-shauq-e-shahadat the khanjar bhi tha dast-e-qatil mein mahfil ki mahfil behis hai tari hai jumud insanon par uth soz ka aalam barpa kar aur aag laga de har dil mein har qatra dariya banne ko betab dikhai deta hai har mauj-e-rawan bechain nazar aati hai firaq-e-sahil mein 'sarshaar' wo kyunkar kahte hain hum qaum o watan ke khadim hain dale na gae jo zindan mein jakde na gae jo salasil mein