har koi Duba hua tha sazishon ki jhil mein

har koi duba hua tha sazishon ki jhil mein
zehn ki kashti thi apni hairaton ki jhil mein

aasman par udte udte lahr kha kar gir pada
aarzu ka ek parinda hadson ki jhil mein

ab idhar aati nahin hain khwahishon ki hirniyan
yaad ki daldal bahut hai uljhanon ki jhil mein

phir uchhaale kis ne aawazon ke kankar arsh par
jab mukammal khamushi thi saaton ki jhil mein

azmaton ki kuchh sunahri machhliyan paida huin
raushni ke ujle ujle tazkaron ki jhil mein

yas-o-hasrat ka sahifa hai hamari zindagi
hum nahate hain muqaddas aayaton ki jhil mein

wadi-e-hasrat mein 'jami' hadisa aisa hua
karb ka tufan uttha qahqahon ki jhil mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close